Saturday, March 10, 2007

Lavz... kabhi kabhi yeh dagah de jate hai...

Jis din dil khush ho... khushi se khushi... chaaron taraf sirf khushi ka eahsaas ho...

Yeh batana bahut mushkil hai, ke yeh eahsaas kaisa hai... kafi mushkil... do lavz, sirf do lavz woh bhi dagah de jate hai... be-wafh lavz bhi...

Aur fir woh mere aankhon me dekthi hai... na jaane kyu dil ki dharkan kehti hai... thoda sa aaraam kar lene do... in aankhon ke saaye me... saala dil bhi be-wafah ho gaya hai...

Ab sirf yeh waqth thoda sa be-wafi kar de... sirf kuch pal ke liye ruk jaye... koi aahat na ho... koi sanaata na ho... woh sirf mere aankho me dekthi rahe... kafi mushkil hai batana... arre hume to hosh kahan... hamara dil to dharakna bhul gaya... yeh in aankhon ka jaadoo hai...

Yeh kaisa jaadoo hai... do lavz bhi nahi chodh gaya... kya yeh in aankhon ka jadoo hai?

Kehna mushkil hai...

Kaise kahun... yeh Lavz... kabhi kabhi yeh bhi dagah de jate hai...

Haan... abhi yeh Lavz... yeh bhi dagah de jaate hai...

No comments: